Mughal-E-Azam (1960) , Pyar Kiya To Darna Kiya Song Lyrics
Movie Main Page
Movie Overview
MP3 Soundtrack
RM Soundtrack
Movie Lyrics
Trailers & Clips
Translated Lyrics

"Pyar Kiya To Darna Kiya"
Music By Naushad
Lyrics By Shakeel Badayuni
Performed by Lata Mangeshkar
Scroll Down For The Lyrics
Lyrics
(Lata Mangeshkar)
Insaan Kisee Se Duniyaan Me
Yek Baar Mohabbat Karataa Hai
Is Dard Ko Lekar Jiitaa Hai
Is Dard Ko Lekar Marataa Hai

Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Pyaar Kiyaa Koi Chori Nahin Ki
Pyaar Kiyaa
Pyaar Kiyaa Koi Chori Nahin Ki
Chhuup Chhuup Aahe Bharnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa

Aaj Kahenge Dil Kaa Fasaanaa
Jaan Bhee Le Le Chaahe Zamaanaa
Aaj Kahenge Dil Kaa Fasaanaa
Jaan Bhee Le Le Chaahe Zamaanaa
Maut Wahii Jo Duniyaan Dekhe
Maut Wahii Jo Duniyaan Dekhe
Ghunt Ghunt Kar Yu Marnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa

Unki Tamannaa Dil Mein Rahegii
Shammaa Ise Mahafil Mein Rahegii
Unki Tamannaa Dil Mein Rahegi
Shammaa Ise Mahafil Mein Rahegi
Ishq Mein Jiinaa Ishq Mein Marnaa
Ishq Mein Jiinaa Ishq Mein Marnaa
Aaur Humei Ab Karnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa

Chhuup Naa Sakegaa Ishq Hamaaraa
Chaaro Taraf Hain Unkaa Nazaaraa

(Choeurs)

Aaaaaaaaaaaaaahaaaaaaaaaaaaaaa
Chhuup Naa Sakegaa Ishq Hamaaraa
Chaaro Taraf Hain Unkaa Nazaaraa

(Lata Mangeshkar)

Pardaa Nahin Jab Koi Khudaa Se
Pardaa Nahin Jab Koi Khudaa Se
Bando Se Pardaa Karnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa

(Choeurs)

Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa

(Lata Mangeshkar)

Pyaar Kiyaa Koi Chori Nahin Ki
Chhuup Chhuup Aahe Bharnaa Kyaa
Jab Pyaar Kiyaa To Darnaa Kyaa
available song resources:
Song In Real Audio Format
Not Available
Song In MP3 Format
Translated Lyrics
Total Views
1127 Times
Lyrics Score (Rate Here)