|
|
| "Pyaar Ki Yeh Kahani" |
Music By Vishal Dadlani-Shekhar Ravjiani
Lyrics By Javed Akhtar
Performed By Sunidhi Chauhan, Gayatri Iyer |
| Scroll
Down For The Lyrics |
| Lyrics |
(pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Woh Bhi Ek Daur Tha
Waqt Hi Aur Tha
Jab Woh The Ajnabi
Dono Tanaha Se The
Par Woh Kehte Kise
Baat Jo Dil Mein Thi) - 2
Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Gumsum Gumsum Rehte The Dono
Phir Bhi Dil Mein Kehte The Dono
Koyi Sapana Hum Bhi To Paayein
Ek Din Tute Ghum Ke Woh Ghere
Jhilmil Jhilmil Aaye Savere
Mausam Badala Jaagi Fizaayein
Woh Mil Gaye, Woh Khil Gaye
Aur Pyaar Ho Hi Gaya
Jo Maanga Tha, Woh Paaya To
Hosh Kho Hi Gaya
Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Haule Haule Abb Woh Deewaane
Gun Gun Gaaye Dil Ke Taraane
Sun Sun Jhumein Saari Hawaanyein
Dhadkan Dhadkan Hai Behaki Behaki
Mann Mann, Mann Mann, Chaahat Hai Mehaki
Sapane Apane Jaadu Jagaayein
Phir Dekhoge, Toh Jaanoge
Kya Hai Nasha Pyaar Ka
Yahi Sochoge, Yahi Chaahoge
Sun Rahi Ye Sada
Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Woh Bhi Ek Daur Tha
Waqt Hi Aur Tha
Jab Woh The Ajnabi
Dono Tanaha Se The
Par Woh Kehte Kise
Baat Jo Dil Mein Thi |
|
| available
song resources: |
| Song
In Real Audio Format |
|
| Song
In MP3 Format |
|
| Translated Lyrics |
Not Available |
| Total Views |
4780 Times |
| Lyrics Score (Rate Here) |
|
|
|
| Other
Lyrics From The Soundtrack: |
|
|
|
|