Saaz Aur Awaaz (1966) , Na Phoolon Ki Duniya Song Lyrics
Movie Main Page
Movie Overview
MP3 Soundtrack
RM Soundtrack
Movie Lyrics
Trailers & Clips
Translated Lyrics

"Na Phoolon Ki Duniya"
Music By Naushad
Lyrics By Unknown
Performed by Lata Mangeshkar, Chorus
Scroll Down For The Lyrics
Lyrics
Aa Aa Aa

Na Phoolon Ki Duniyaa, Na Taaron Ki Duniya
Ye Hai Bas Khayaal-e-bahaaron Ki Duniya

Yahaan Mast Nazarein Behakne Ko Tarse
Umangon Bhare Dil Dhadakne Ko Tarse
Ye Hai Pyaar Ke Besahaaron Ki Duniya

Yahaan Gam Hai Laakhon, Masarrat Nahi Hai
Tadapne Ki Lekin Ijaazat Nahi Hai
Ye Hai Ishq Ke Beqaraaron Ki Duniya

Na Phoolon Ki Duniyaa, Na Taaron Ki Duniya
Ye Hai Bas Khayaal-e-bahaaron Ki Duniya

Aa Aa Aa

Paayaliya Baawari Baaje
Paayaliya Mori Jhanan Jhanan
Jhan Jhananan Baaje Aa Aa
Paayaliya Baawari Baaje ...

Aa Aa Aa

Aaj Sakhi More Pee Ghar Aaye, Aa Aa Aa
Aaj Sakhi More Pee Ghar Aaye
Dekh-dekh Chhab Jiyara Jaaye
Baar Baar Mora Mann Lehraaye
Paayaliya Baawari Baaje ...

Saat Suron Ke Deep Jalaake, Aa Aa Aa
Saat Suron Ke Deep Jalaake
Prem Been Ki Dhun Par Gaake
Aaj Naachun Main Piya Ko Paake
Paayaliya Baawari Baaje ...

Aa Aa Aa
available song resources:
Song In Real Audio Format
Not Available
Song In MP3 Format
Not Available
Translated Lyrics
Not Available
Total Views
245 Times
Lyrics Score (Rate Here)